स्वादिष्ट सफेद चना पालक की सब्जी | Swadisht safed chana palak ki sabji
chana palak ki sabji – चना और पालक दोनो ही ताकत (power) देने वाले हैं. चना पालक की सब्ज़ी हेल्दी (healthy) होने के साथ-साथ खाने में भी लाजवाब (fabulous) होती है.
Click here to read:- Did You Know Using Perfume Can Be Dangerous and can cause Cancer
ज़रूरी सामग्री: Ingredients needed for chana palak ki sabji
पालक – 1 किग्रा. (1 बड़ा बन्च)
काबली चना – 180 ग्राम ( 1 कप )
टमाटर – 250 ग्राम (4-5 मीडियम साइज- medium size)
हरी मिर्च – 2
अदरक – 1 इंच का टुकड़ा
तेल – 2 टेबल स्पून ( table spoon)
हींग – 1-2 पिंच
जीरा – आधा छोटी चम्मच
हल्दी पाउडर – आधा छोटी चम्मच
धनियां पाउडर – 1 छोटी चम्मच (small spoon)
लाल मिर्च पाउडर – 1/4 छोटी चम्मच
नमक – स्वादानुसार ( ऊपर तक भरी 1 छोटी चम्मच)
गरम मसाला – 1/ 4 छोटी चम्मच
हरा धनियां – 1 टेबल स्पून (बारीक कटा हुआ)
बनाने की विधि: Lets know how to make chana palak ki sabji
-चना पालक बनाने से लगभग 8-10 घंटे पहले चनों को अच्छे से धो कर भिगो दें.
-भीगे चनों को कूकर (cooker) में डाल कर आधा कप पानी (half cup water) डाल कर एक सीटी लगवा कर उबालें (boil) और जब तक कूकर में भाप है तब तक इन्हें बंद (close) ही रखें.
-अब पालक को 2-3 बार पानी में डुबो कर धो के साफ़ कर लें और डंडियां अलग करके बारीक बारीक काट (cut in small pieces) लें और टमाटर, अदरक (ginger) और हरी मिर्च को धोकर साफ़ करके मिक्सी (mixi) में बारीक पीस कर पेस्ट (paste) बना लें.
-एक कढा़ई में तेल गर्म करें और उसमें हींग और जीरा डाल कर हल्का भूनने के बाद हल्दी और धनिया पाउडर (powder) डाल कर थोडा़ भून लें. अब इसमें पीस कर तैयार किया टमाटर (tomato) और अदरक वाला पेस्ट और लाल मिर्च (red chilly) डाल कर तब तक भूनें जब तक मसाला तेल (oil) ना छोड़ दे. जब तेल मसाले के उपर नज़र आने लगे तब आपका मसाला (masala) तैयार है.
CLICK HERE TO READ: आइए आज बनाये भरवां पनीर कोफ़्ता की सब्जी
-अब तैयार मसाले में कटी पालक और नमक (salt) डाल कर अच्छे से मिला दें, ताकि मसाला और पालक (spinach) अच्छे से मिल जाएं. पालक को ढक कर 3-4 मिनट के लिए पका लें और फिर ढ़क्कन (cover) हटा कर चला दें और 3-4 मिनट पका लें. अगर आपको ग्रेवी (gravy) वाली सब्ज़ी पसंद (like) है तो इसे ऎसे ही रहने दें और चाहें तो तेज़ आंच पर कुछ देर हिलाते हुए पानी सुखा कर इसे ड्राई (dry) बना लें.
-तैयार चनों को कूकर से निकाल कर पालक में डाल कर अच्छे से मिक्स करें और मसालों का स्वाद (taste) चनों में अच्छे से मिलने तक पकाएं. अपनी पसंद के अनुसार आप इसे ग्रेवी वाला या ड्राई बना सकते हैं.
-गरम मसाला और हरा धनिया डाल कर तैयार चना पालक को गर्मा-गर्म परोसें (serve it hot) और चपाती या परांठे के साथ इसे मज़े से खाएं.
………………………..
Swaadisht safed chana palak ki sabji
Chana aur paalak dono hi taakat dene wale hai. Chana paalak ki sabji healthy hone ke sath sath fabulous ( lajwaab) hoti hai.
Swaadisht safed chana palak ki sabji ki Saamagri
Paalak : 1 kg
Kabuli chana : 180 gm
Tomato : 250 gm ( 4 – 5 medium size ke )
Hari mirch : 2
Adrak : 1 inch ka tukda
Oil : 2 tbsp
Hing : 1 – 2 pinch
Jeera : ½ tbsp
Haldi powder : ½ tbsp
Dhania powder : 1 tbsp
Lal mirch powder : ¼ tbsp
Namak : Acc. to taste
Garam masala : ¼ tbsp
Dhania patti : 1 tbsp baarik kataa
Swaadisht safed chana aur palak banaane ki vidhi
Chana paalak banaane se lagbhag 8 – 10 ghante pehle chano ko acche se dho kar bhigo dijiye.
BHige chano ko cooker mein daal kar ½ cup paani daal kar ek whistle lagaaye aur jab tak cooker mein steam hai cooker band hi rakhe.
Ab paalak ko 2 – 3 baar paani mein dho kar saaf kijiye aur dandian alag karke baarik kaat lijiye aur tomato , adrak , hari mirch ko dho kar mixer mein baarik pees kar paste banaa lijiye.
CLICK HERE TO READ: आइए आज बनाये मसालेदार लोबिया – रोंगी की सब्जी
Ek kadaai mein oil garam kijiye aur usme hing aur jeera daal kar bhoonne ke baad haldi aur dhania powder daal kar thoda aur bhoon lijiye. Ab Isme pees kar ready kiya tomato adrak wala paste aur lal mirch daal kar tab tak bhoone jab tak masala ghee na chod de, jab ghee masale ke upar najar aane lage to aapka masala ready hai.
Ab ready masale mein kati paalak aur namak daal kar acche se mila dijiye, taki paalak aur masala acche se mil jaye. Paalak ko dhak kar 3 – 4 min. ke liye pakaa lijiye aur phir dhakan hataa kar chalaaiye aur 3 – 4 min. pakaa lijiye. Agar aapko gravy wali sabji pasand hai to aise hi rehne deh aur chahe to tej flame kuch der hilaate hue paani sookha kar dry banaa lijiye.
Ready chano ko cooker se nikaal kar paalak mein daal kar acche se mila lijiye aur masalo ka swad chano mein milne tak pakaye, apni pasand ke anusaar aap ise gravy wali ya dry banaa sakti hai.
Garam masala aur dhania patti daal kar ready chana paalak ko garam garam serve kijiye aur chappati ya paranthe ke sath maje se khaiye.